124 saal purani mithai ki dukaan jiska taste angrezo ko bhi pasand aaya

Ye hai Mehru’s — jiski shuruaat 1902 mein hui thi, Lala Meharchand ji ke naam se, Shimla ke Lower Bazar mein.

Lala Meharchand Ji ki Wirasat

Ek chhoti si dukaan se shuru hokar, Shimla ki sabse bharosemand mithai ki pehchaan tak.

Kaha jata hai ki yahan ki jalebi aur traditional mithaiyon ne British afsaron ko bhi apna deewana bana diya tha.

Aaj bhi Mehru’s apni 124 saal purani pehchaan ko quality aur consistency ke saath banaye hue hai. Yahan mithaiyan taiyaar hoti hain shuddh desi ghee aur fresh doodh se — bilkul waise hi, jaise Lala Meharchand ji ke zamaane mein banti thi.

Har peedhi ne is parampara ko aage badhaya — na recipe badli, na neeyat. Bas naam thoda aur bada hota gaya: Lower Bazar se poore Shimla tak.

Jinki Zubaan Par Bhi Mehru's Ka Swaad Chadha

British afsaron se lekar aaj ke sitaron tak — Mehru’s ki mithaiyon ki diwani rahi hai kayi badi hastiyan.

Lord Mountbatten

British Officer

Muhammad Ali Jinnah

Statesman

Sunny Deol

Actor

Anupam Kher

Actor